mein hoon ghulam aap ka
ya Hassan ya Hussain
mere Imam aap hain
ya Hassan ya Hussain
sukhi baadshah Hussain
Maula Ali ke laal hain
Zahra ke hain jigar
gohar-e-naayaab aap hain
ya Hassan ya Hussain
hai zikr-e-Ahl-e-Bait meri
har namaaz mein
bheju darood aap par
ya Hassan ya Hussain
ab fikr-e-farda kyun karoon
jaari zubaan pe hai
zikr-e-Ali-o-Zahra-o
ya Hassan ya Hussain
meri madad ko aayenge
Husnain us ghari
mahshar mein jab pukaarunga
ya Hassan ya Hussain
poori yeh aarzoo ho
Khudaaya Farid ki
waqt-e-naza labon pe ho
ya Hassan ya Hussain
This kalam is part of the Nizami Qawwali repertoire.
Learn more about the group →