saaye mein tumhare hai
qismat yeh hamaari hai
qurbaan dil-o-jaanaam
kya shaan tumaari hai
kya pesh karoon tumko
kya cheez hamaari hai
yeh dil bhi tumhaara hai
yeh jaan bhi tumaari hai
naqsha tera dilkash hai
soorat teri pyaari hai
jisne tumhe dekha hai
so jaan se vaari hai
go laakh bure hain hum
ke laate tumhare hain
ek nazar-e-karam karna
yeh arz hamaari hai
hum chhor ke is ghar ko
jaayein to kahaan jaayein
ik umr tumhare hi
tukron pe guzaari hai
tasveer teri humne
ae jalwa-e-jaanaan na
so aaine thore hain
tab dil mein utaari hai
taazi tere sajde se
zaahid ko jalan kyun hai
qudrat ne jabeen saayi
qismat mein utaari hai
This kalam is part of the Nizami Qawwali repertoire.
Learn more about the group →