kar ke hijrat Makkah se pohnche Madine Mustafa
dekh kar Aaqa ko har ik ki zubaan pe naghma tha
marhaba marhaba ya Muhammad
Amina Bibi ke jab aaye shikam mein Mustafa
har taraf phelaa hua tha noor
muattar thi faza
ghunche kaliyaan phool sab ke sab bahut the khushnuma
bulbulein gaati thi naghma Amina ke laal ka
marhaba ...
Huzoor jab tashreef laaye duniya mein
Rehmatil lil Aalameen ban kar ke aaye duniya mein
Rabb ne apne Noor ko bheja hai is duniya mein
khoob khush ho jaao aur khushiyaan manaao duniya mein
jab chale Miraj par the Sayyidul Anbiya
aaye Jibrail bhi kehte the ya Mustafa
aap the raazi bahut hai pyaara Rabbul Aalameen
haazir-e-khidmat hoon mein ya Rehmatil lil Aalameen
chaliye Masjid-e-Aqsa mein hai muntazar sab Anbiya
dekhte hi sab ke sab nabiyon ne Aaqa ko kaha
keejiye aakar imaamat ae Imaamul Anbiya
baad az namaaz sab Rasulon Ruhul Ameen ne yoon kaha
This kalam is part of the Nizami Qawwali repertoire.
Learn more about the group →