khudi ka sir-e-nihaan
khudi hai tegh-e-fasaan
yeh daur apne Ibraheem ki talaash mein hai
sanam-qadaa hai jahaan La Ilaha Illallah
agar che boot hai jamaat ki aastinon mein
mujhe hai hukm-e-azaan
Hasbi Rabbi Jallallah, Ma Fi Qalbi Ghairullah
Noor Muhammad Sallallah
La Ilaha Illallah
kisi ne poocha ke jannat ki koi qeemat hai
to Mustafa ne kaha
La Ilaha Illallah
yeh naghma fasl-e-gulon laala ka nahi paaband ha
bahaar ho ke khazaan
khabar ke khauf-o-khatar se hone hai woh aazaad
ke jisne dil se kaha
munafiqon se shayaateen se bach raaho ge tum
rakho yeh wird-e-zabaan
milegaa rizq-e-halaal aur barkatein hongi
yeh ek kalma paro
woh laa-shareek hai, koi shareek uska nahi
hai kaa-enaat mein bas
Khuda ke baad hain, yakta Muhammade Arabi
jinhon ne pehle parha
imaan ghar hai bachaana, Nizami duniya mein
to sab hi milke paro
This kalam is part of the Nizami Qawwali repertoire.
Learn more about the group →